Saturday, June 02, 2012

Mumbai shehar















Naa jaane ye shehar khud mein kya baat rakhta hai,

Har koi isme duniya basane ka hunar rakhta hai.
Kehte hai ye shehar kabhi sota nahi,
Lekin sirf kuch paane ki chahat mein,
Palkhe jhukti nahi,
Neend aati nahi,
Jaan bhi jaat hi nahi,
Bas isi daud mein Mumbai soti nahi.

Naa jaane ye shehar khud mein kya baat rakhta hai

Jaha koi ghar ka sapna sajaata hai,
Toh koi rail ka mazaa paata hai
Koi pav bhaaji chahta hai,
Toh koi BMW mein ghumna chahta hai.
Koi bangle mein thandi neend sota hai,
Toh koi khuli hawa mein hi so jaata hai.
Koi raaj gaddi ki shaan paata hai,
Toh koi film ka taara ban jaata hai.

Naa jaane ye shehar khud mein kya baat rakhta hai............

1 comment:

  1. khub kaha ghalib sahab. Sahi mein is shehar ki ek alag hi kahani hai. Jo bhi yaha aata hai bas usse is shehar se pyaar ho jaata hai.

    ReplyDelete

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Blogs One Should Read